WAKIYA YE KARBALA ????
Article:ALTAF from:islamjaano
Date;26 sept 2016
Asalam u alaikum
worahamatullahi wo barkatuhu
agar aap ye post ko puri
padhenge to ishaqe imame
hussain razialah hu tala alhi
me ro padenge mere aqao mal
aapko ye post urdu hindi me
aapke liye likhi gayi hai isliye
puri padhe ye post aapke
ishaqe hussain me rula degi
hazrat imame hussain kon
hai????
imame hussain (rz)
nawa asaye mustafa hai imame
imame hussain nabi ke nawase
hai ab aap jaan chuke hai ke
imame hussain kon hai ab
hum yeh jaanenge ke imam
hussain (rz)ne wo konsa kaam
kiyatha jise duniya unhe
janat ke nowjawano ke sardar
aur shaihid maanti hai
imame hussain( rz) ne duniya
ke saare musalmaano ko
ek naya raasta dikhaya unhe
azaadi di agar us oct imame
hussain apne ghar bacho khud
ko nahi shahid karte to aaj hum
musalman nahi rahete bus ye
shukr hai nawasaye rasool ka
mere hussain tujhe salam
yezid kon thaa??????
yezid ek badbakht zaalim
shaarabi juwari ayashi thaa
aur yezid ek sahabiye rasool
ka baita tha hazrate imame
hussain (rz) ke saath karbala
main jung karne wala yezid
zaalim hi thaa ab aap jaan
chuke ho ke yezid kontha
ab hum jaanenge ke karbala
ki jung kyu huwi aur kaise
###WAKIYA YE KARBALA##
pehle aap achi niyet farmale
maine ye post aap bhayo ke
liye badi mehnatse likhi hai
aap wada kare aap ye post
puri padhenge inshalah
imame hussain (rz)ko jab
pata chala e unke nana ne
unse pehle hi kahan tha
ke beta hussain tujhe islam
ke liye kurbaani deni padhrgi
ek din aayega tu bhuka pyaasa
shahid hojaayega aur janat me
apne nana se jaame kousar
piyega bus wo oct karib aagaya
thaa jab islaam ka oct aagya
thaa khilafate amir ul mominin
bane ka amirul momin ka
matlub kom kaa bada muslim
kaa bada us oct yezid jaisa
aadmi jo ke ek sahabiye
rasoolka beta thaa jo ki
bohut bada sharabi thaa apne
gharke aangan me nangi
ladkiyo ke saath bheta karta
tha ek juwari ek sharabi
zinakhori duniya ka har ek
gunha uske andar mojud tha
kabhi agar uska koi bandar
mar jaaayeto uske liye din
raat roya karta koi aysi raat
nahi thi jis din o shaarab pita
naatha
ekdin ayesa agaya ke khilafat
keliye saare log imame ali
makam rz ko kom kaa amir
bana na chahte the lekin
yezid ko ye pata chala to usne
kahan ke mera baap bhi islam
Ke liye bohut kuch kiya hai
Isliye kom kaa amir to sirf
Main banungaa lekin logo ko
Pata tha ke agar humne ise
Apna amir maanengeto hamari
Raat din sab jina mushkil
Hojaayega agar maanlo main
Aap se kahun ke aap apni
Masjid kaa imam kisi sharabi
Ko banado namaz padhane ke
Liye kisi sharaabi ko aage
Bhejdo to aap kahenge ke
Kai aap pagal to nahi hogye
Aap mujhe phatar utha ke
Maarenge aur pagal khaane
Bhej de aisa hi hall yehaan
Huwa jab yezid jaisa zalim
Kom kaa sardar bane ki zid
Karne laga imame husain
(Rz) farmaya chaheto main
Apna sar kaatoungaa lekin
Kabhi khuda ke siwwaa kisi
Ke aage sar nahi jhuka
Ungaa sab log yezid ki baat
Ko jhadiya to yezid ne imame
Hussain (rz) ke do nahne nahne
Shayezado ko maardiya
Ab yezid ne logo ke dil me
Apna khof bata diyatha jise
Log yezid ko apna amir mane
Ko tyaar hogye yezid ke darse
Madine ke logo ne imame
Hussain (rz) se madine se
Chele jaane ko kahan
Agar aap yehaan rehenge to
Hamara jina mushkil hojayega
Yezid ne madine me apna
Dabdaba bana ke rakha tha
Yezid ke saamne koi kuch nahi
Bolsakta tha to hazrate imame
hussain (rz)ko ek raat baad
Apne pure khandan ko lekar
Madina chodna tha to jab
Subhaan huwi to imame
Husain namaz ada karne ke
Liye apni nana ki masjid me
Jaate hai aur naamaz ke liye
Therte hai jaise hi naamaz
Ke liye jamat bandhte hai
To aankho me asshhk jaari ho
Jaate hai itna aankho me se
Aansu jaari hai aapke ke
Aapke aansuye mubaarak se
Aapka pura jhuba mubarak
Bhig gya hai aap ke dil me
Ye khaayalat aate hai jiske
Wajase aapke aasun rukne
Kaa naam nahi lete ke
Ek dor tha main madine ki gali
Se apne nana ke saath guzarta
Tha to log mujhe salam karte
Hume madine me rahne me
Fakhr hota ke hum apne
Nana ke shaher me hai
Apne nana ko yaad karke imam
Hussain(rz) rote rahe fir oct agya
Madina chodne ka fir hussain
Azam mackah ki taraf rowana
Huwe aur madine ka bacha
Bacha ro rahatha fir hussain
Azam apni maaki qabar mubark
Hazrate fatima ki bargame
Jaate hai arz karte hai rote
Rote ke ayemaa aaj hume
Apne nana ka shaher chodna
Padhrha hai salam pesh karke
Nikal te hai aur dusri taraf
Mackah ke log imame hussain
(Rz)ka istiqbaal khushi se karte
Hai jab hazrt hussain macka
Aate hai to unki mehman nawa
Zi achi tarike se maka walle kart
E hai fir hussain azam ko
Kufa walle log bulate hai
Ke aye hussain azam kufa ko
Aapki zaroorat hai aap kufa
Aakar oct ka amir bun jaaye
To imame azam nikal padte
Hai to macke ke ek buzurg
Farmaate hai ke aye hussain
Azm aapko kufa mat jaao
Kufa me ohi zaalim log hai
Jinhone aapke baba hazrt
Ali (rz)ko dhoke se shahid
Kiyatha in par bhrosa nahi
Karna chahiye to fir imame
Ali maqam ke chote bhai
Arz karte hai ke aap mat jaao
Main jaaonga kufa aur sab
Dekhunga ke ohaa ke log koi
Dhoka to nahi karenge agar
Sab kuch acha rahato hum
Aapko paigame bhejedenge
Fir aap bhi kufaa aajaana
Fir o nikal pade kufa jaise
Hi kufa gaye pure 20 lakh log
Hazrat ka istiqbal karne lage
Unko khana khilaya achi khasi
Mehmaan nawazi ki fir octe
Namaz hazrat imame hussain
(Rz) ke bhai ko imam banaya
Fir hazrt kufa se khat likh
Kar paigame bheja ke aye ham
Are bhaijan kufa ke log ache
He aap aajaye to uske baad
Yezid zalim ko khabar mili
Ke kufa ke log imame hussain
Ko amir banane walle hai
To us yezid ne apne saare
Log kufa par lagadiye hamla
Karwadiya sabke haath me
Ek ek bade bade talware thi
Jab hazrat aram farmaye
To inlogo ne jo yezid ke log
The kufa ko dhamki di ke
Agar tumne is hussain ke bhai
Ki madad ki ya imame hussain
Ko oct ka khalifa maana
To tum kabhi zinda nahi bachoge
Jaise hi ye suna tha to kufan
Wallone yesoch liya ke hume
Apni jaan pyaari hai jab
Oct namaz ka aya to jamat
Ther gayi jaise hi salam
Phera to kya dekhte hai
Apne piche sirf 3 log the
Sirf 3log hazrat ke saath namaz
Ada kar rahethe taajub huwe
Farmaye ke jab kal namaz
Ada ki to pure 20 laakh
Kufan ke log ne mere piche
Namaz ada ki aaj mamula
Kya hai jaise hi malum huwa
Ke yezid ke darse koi aapka
Saath nahi dena chahta aapne
Apne bhai ko itila kardi ke
Ayebhai jaan kufa mat aana
Yehaan ke log fir badal gaye
Yezid se dar kar fir dhoka diya
Aap kufa mat aaye fir din
Guzre to hazrt ko zoro ki bhuk
Lagi thi aur saath me hazrat
Ke dono mune the bacho ko
Bhi bhuk ki shidat thi fir aap
Ne socha ke jab hum pehle
Din kufa ayete to inlogo
Ne hume kai taraha ke pakwan
Pakwake khilaya ab jab dekhte
Hai to koi apna darwaza bhi
Nahi khol raha hai fir aapko
Saamne ek gosht ka dukan
Dikha aapne gosht wale se
Farma ya kya aap hume
Kuch paka huwa ghosht
Desakte hai usne kahan ke
Tum yehaan se chalejao
Agar oct ka amir yezid humko
Tumhare saath dekhega to
Jis haath se hum ghosh kaat
Te hai o hamare haatho ko
Hi kaath dega fir usne aapko
Jo jaanwar ki pet me ki
Kharab chiz hoti hai o aapko
Zameen par phek ke kahan
Ke agr khana hai aisa hi khaalo
Hazrt ne aise oct bhi aise chizo
Ko bhi gawanra nahi samjha
Bus aapne nana ki sunat
PAr chale rahe fir yezid ko
Pata huwa ke imame hussain
Ke bhaai kufa ki galiyo main
Aapne dono chote bachho
Ke saath bhatak rahe hai
To unhone hazrat ko kufa
Ki gali se pakad kar ked karliya
Ab jo chote bache the o akele
Kufa ki galiyo main bhatak
Rahete
Fir hazrt ko ked kiya gaya
Hazrat ne haram khana pina
Pasand naa karke bhuke
Payese shahid hogye
Fir bacho ko bhi yezid ne
Zalim ne bacho ke gardan
Uda diye alaaaaahu akbar
Yaaa aalahaaaa
Fir mamula imame
Hussain( rz)tak pohuncha
Aapne talwar utha yi aur kehne
Lage sarkaatana paasand hai
Ghar luta na bhi pasand hai
Lekin ayse zalim ko oct ka
Amir bane dena gawara nahi
Ab hazrat nikal chuke hai
Junge karbala ke liye yezid ko
Jung ki itila diye yezid maan
Gaya maidane karbala
Yezid ke aadmiyo se bhar
Gaya laakho log the yezid ke
Aur imame azam ke sirf
Kuch 100 se kum log the
Hazrat hussain(rz) ke saath
Islaam par mar mitne waale
Bache nawjawan budhe
Aurte sabhi aagayi unka pura
Khandan aagaya fir jung shuru
Hogyi imame hussain ne
yezidiyo se ladayi ki bus talwar
Ghuma kar ek talwar se hazaaro
Yezidiyo ko khatam kar rahe hai
Uske bad hazrat ke sath jitne
Bhi musalman the sab shahid
Hogye bus hussaine azam
Karbala ki jung akele ladh
Rahe hai fir itni bhuk pyas ki
Shidat huwi hussaine azm ko
Ladna mushkil huwa
Hussaine azam bus ek
Ishara kardete to duniya ke
Saare samandar aajte the
Agar ek ishara kardey to
Farishtey jaame kousar
Janat se lekar aasakte the
Lekin hussain aazam ko
Yaad tha hussain ke nana ne
Pehle hi kahediya tha ke ek
Din aye hussain tujhe par
Aisa aayega tu bhuka pyasa
Shahid hojaayega isliye
Main aapne nana ke kahe huwe
Farmaan ko jhutla nahi
Sakta duniya idharki udhar
Ho jaaye lekin mere nana ka
Kehena kabhi galat nhi
Hosakta fir hazrt lad rahete
To unke ek shayezade the
Hazrat ko aur ek dar tha ke
Agar meri saare aulade shahid
Hogyi to mere nana ki nasal
Aage kaise badhegi isliye
Aapke sahezade ko aapne
Karbala se wapis bhej diya
Fir aapki behen roti rahi
Yehaatake aapne itna sabar
Kiya mera aqida hai ke aap
Jaisa sabar kisi ne bhi aaj tak
Na kiya hai naakarega fir
Aapke ghar ki izat se khela
Gaya bacho ko bhi shahid
Kiya sab shahid hogye aap
Bhuke pyaase maidane
Karbala main tezz dhup main
The fir octe namaz hogya
Aapne apni zindagi me kabhi
Namaz fot nahi ki thi aapne
Namaz ada karne ke liye
Musala bichaya jaise hi sajda
Kiya to aapko shahid kardiya
Gaya mujhe pata hai aap
Bhi ishaqe imame hussain
Me wakiya karbala sune ke
Baad ro rehn honge aisa
Sajda hussain azam ke jaisa
Aaj tak nahi mila aaj bhi
Aisa sajda namaz dhundti
Hai ke hai koi sajdaye karbala
Wala bus aapko iske aage kya
Kahun hussain ne puri kom ko
Bachaliya yezid se agar nahi
Bachaya hota to aaj hum
Musalman na hote kisi
Zina khano mezina karte
Hote sharabi hote juwari
Hote khaer alha ka laak
Laaak shuker hai alha ne
Hum ko hussaini banaya hai
Alha hume ispar amal karne
Ki toufiq ata farmaye amin
Bijahinnabiyul karim
Jazakh alha

asalam u alaikum bhayo ji aap ke liye kuch wakiyaat hai jo
ReplyDeleteaapke ishk ko machla degi ishqe hussain me rula degi main bus aapne bhyo ki islaaah ki koshish karungaa main koi aalim hafiz mufti nahi hu bus ek mubalig hu aapkoi deen se realetd qusiton puch sakte ho inshalah jawaab jaldi hi milega